Tujhe dekhe bina teri tasvir bana sakta hoon, Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon, Hai meri dosti mein itna dum, Apni aankh ka aansoo teri aankh se gira sakta hoon…
Jo Har Pal Jalti Rahe, Use Roshni Kehte Hain, Jo Pal Pal Chalti Rahe, Use Zindagi Kehte Hain, Jo Pal Pal Khilti Rahe, Use Mohabbat Kehte Hain, Jo Sath Na Chode, Use Apni Friendship Kehte Hain…
Dosti nazaro se ho to use kudarat kahate hai, Sitaro se ho to use zannat kahate hai, Husan se ho to use mohabbat kahate hai, Aur dosti aapse ho to use kismat kahate hai…
Dil me tumhaare apni kami chod jaayenge, Aakhon me intzaar ki lakeer chod jaayenge, Yaad rakhna muje dhoondhte firoge ek din, Zindagi me dosti ki kahaani chod jaayenge…
Kashish dil ki har cheez bhula deti hai,Band aakhon mein bhi sapne saja deti hai, Sapno ki duniya me jarur rehna dost, Kyun ki hakikat to aksar logo ko rula deti hai…
Jo dil ke karib hi nahi saanso me base ho, Dost sache agar sath ho to roya nahi karte. Jo ho jeene ki wajah vo har pal yaad aate hai, Gum me bhi sukun de aise doston ko khoya nahi karte....
Ek lafz hai…."MOHABBAT" Isse kar ke toh dekho tum tadap naa jao to kehna…!!
Ek lafz hai…"MUQADDAR" Isse ladke toh dekho tum haar na jao toh kehna…!! Ek lafz hai…."WAFA" Zamane mein nahin milti.. Kahin dhoond pao to kehna…!! Ek lafz hai. …"AANSOO" Dil mein chhupa kar dekho…Tumhari aankhon se na nikle toh kehna…!! Ek lafz hai…."JUDAAI" Isse kar toh dekho tum toot ke bikhar na jao toh kehna…!! Ek lafz hai…."KHUDA" Usse pukaar kar toh dekho sab kuch paa naa lo toh kehna…!!