Showing posts with label Romantic Poem. Show all posts
Showing posts with label Romantic Poem. Show all posts

Saturday, 23 February 2013

Woh aaj humse mile


Woh aaj humse mile anjano ki tarah,
Hum yunhi raah take baithe rahe Dewaano ki tarah,
Har nigah mein aur dur chale jaate hain,
Humse nazar churate hain beimano ki tarah,
Hum yunhi raah take baithe rahe Dewaano ki tarah….

Hum ne jo ki thi ‘Mohabbat’ aaj bhi hai



Hum ne jo ki thi ‘Mohabbat’ aaj bhi hai,
Tere julfo ke saye ki ‘Chahat’ aaj bhi hai,
Rat katati nahi aaj bhi khayalo me tere,
Diwaano si wo meri ‘Halat’ aaj bhi hai…
Kisi aur ke tasavvur ko udati nahi,
Baiman aakhon me thodi si ‘Sarafat’ aaj bhi hai,
Chah ke chahe ek bar fir chhod dena tu,
Chah ke chahe ek bar fir chhod dena tu,
Dil tod tuje jane ki ‘Izzazat’ aaj bhi hai….